Saturday, February 5, 2011

Poetic Love Surge


Dhoondte hain hum unhein har jagah aur apne har taraf…
Par nazar aati hain sirf mohabbat ke woh meethe pal mere har taraf..

Koshishein karti hoon bahut ghamon ko khud se dur rakhne ko..
Par kaise samjhaoon main kisi ko aur apne is haal-e-dil ko….

Ban jaate hain gham mere dost banker kabhi mere tanhaiyon mein..
par fphir theek ho jaati hoon uski muskurahat ko rakh kar apne labo mein....

kya pyaar mein aisa bhi hota hai... yeh Rab ne humein bata diya…
par socha na tha ke yeh khel Rab ne hamare saath hi kyon kiya..

suna hai pyaar mein dard aur khushiyaan donon hoti hai…
par kyon har waqt bahuton ke saath pyaar mein judaai hoti hai?

1 comment:

  1. For the first time, I have included a snatch of a Hindi love-poem, hope my readers understand Hindi... if the reader does not, my apologies.
    I did not attempt to translate the words into English and thereby dilute the content.
    Please excuse.
    The accompanying image would speak loads.... on its own.

    ReplyDelete